High quality aur surakshit products aapke parivaar ke liye.

Canadian dairy antibiotics, preservatives, aur hormones se free hoti hai. Chahe fresh doodh ho, cheese ya yogurt, Blue Cow logo yeh guarantee karta hai ki aapki dairy 100% Canadian doodh se bani hai, jo local dairy farmers dwara produce ki gayi hai.

Fresh doodh se le kar ek garma garam chai ke cup tak, local dairy farmers yeh sunishchit karte hain ki jo dairy aap consume karte ho, wo surakshit aur highest quality ki ho.

Blue Cow ko dekhiye aur Alberta ke dairy farmers dwara offer kiye gaye high-quality dairy products ka maza uthaiye. Kyunki, achhai hamesha door tak jaati hai.

 

Achhai ka swaad chakhie.

Apke community ke food lovers apna junoon local dairy products ke liye in swaadisht recipes ke saath share karte hain, jo khas aapke liye banayi gayi hain. Inhe zaroor try kariye!

 

Raj Thandhi khadya lekhika aur recipe developer hain. Ve lokpriya Instagram page @pinkchai ke peechhe content creator bhi hain.  Raj ka kaam paramparik Punjabi vyanjan-vidhiyon ko sanrakshit karne par kendrit hai, saath hi, ve apni Canadian parvarish aur vaishvik yatrayon se prabhavit hokar unmein navinta bhi laati hain. Unka kaam unki sanskriti ke mazedaar swadon ka jashn manata hai aur unka lakshya in vyanjanon ko aadhunik darshakon ke liye sulabh aur praasangik banana hai.

 


Alberta ke dairy farmers ko jaaniye.

eh vo log hain jo un dairy products ke peeche hain jo Albertans roz enjoy karte hain. Aaiye, unhe thoda aur jaaniye.

Karen

Har farm ke peeche ek parivaar hota hai. Teen beton ki parvarish karte hue, Karen sirf apne parivaar par hi nahi, balki un sabhi parivaaron par bhi dhyaan deti hain, jinko unka dairy farm khana dene mein madad karta hai.